Client ko bataye beghair kuch commission rakhna

Q: Mera property consultancy ka office he. Mujhe apne business me halaal aur haram profit ke bare me jaanna he.

1. Hum apne client se commission lete. To client ko bataye bina bhi kuch raqam rakh sakte he apne liye?

2. Sometime client nahi hota hamare pass koi hum jaisa hi hum se cheez lene aa jata he to hum bhi kisi aur se wo cheez le ke usse dete he to kiya us me se hum apna hissa rakh sakte he? Kyun ke jis ke pass client he usse to commission mil jaati he lekin jo bech me log he wo apna apna hissa rakh lete he to kiya ye jaiz he?

A:

1. Usko bataaye baghayr, lena chori he.

2. Agar darmiyaan waale kuch mu`tad bihi kaam karte he to us kaam ka muaawadhah ka talab karna saheeh he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)