Miscarriage ke bad umrah karna

Q: Me visit visa par Saudia aayi hu. Yahan mera miscarriage hogaya he 20 Oct ko. Muje wapis Pakistan jana he 25 Nov ko. Me 30 days ke bad Umrah kar sakti hon ya 40 din tak me Umrah nahi kar sakti? Agar mujhe bleeding ruk jati he to kiya me 40 din se pehley Umrah kar sakti hon? Mera miscarriage 18+ weeks me huwa he according to ultrasound.

A: Agar bache ke aaza (jaise haat, pair, kaan, qadam) ban gaye to jo khoon miscarriage ke bad nazar aawe wo nifaas hoga. Lihaaza is surat me chonke ye miscarriage chaar maheene ke bad huwa, to bache ke aaza bun gaye to ye koon nifaas hoga. Agar ye pehli dafa aap haamila hogayee to agar khoon chaalees roz mukamal jaari rahe to chaalees roz aap ka nifaas hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)