"Agar me ne ye gunah kiya to kaafir hoga" kehne se kiya hoga?

Q: Mere ek dost ne kaha ke agar me ne ye gunah kiya to kaafir hoga aur us ne kiya. Wo ye qasam ko kaise khatam kar sakta hai? 

A: Aaindah aysa qasam ne khaaye. Kaffaarah ye he ke 10 miskeeno ko do waqt khana khilaaye ya har eik ko kapra pehnaade ya har eik ko sadaqah fitr ka miqdaar de. Agar qasam khaane ke waqt usko ye aqeedah tha ke qasam torne par woh kaafir hoga to ye kufr he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)