Nokar, khala aur showhar ko zakaat dena

Q:

1) Kia main apne nokar ko, jise hum salary bhi dete hain use zakat de sakti hon?

2) Kia main apni khala jise ke shohar berozgar hain ko zakat de sakti hon?

3) Maine sunna he ke apne shohar jo ke berozgar he ko bhi zakaat de sakte he. Kia ye baat durust hai?

A: 1. Jee haa, aap usko zakaat desakti. Lekin kaam aur mazdoori ke badle usko zakaat dena jaazi nahi he.

2. Jee haa, jaaiz he.

3. Showhar ko zakaat dena jaaiz nahi he. Aap usko hadya de sakti.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)