Qur'aan Shareef par haath rakh kar ye kehna ke agar fala kaam kia to me kaafir honga

Q:

1. Agar koi insaan Qur'aan per hath rakh kar ye kahe ke agar yahi kaam kia to me kaafir honga, aesi koi niyyat nahi thi sirf apny apko us kaam sy rokne ke liye bol diya or wo kaam bhi halaal ho, tu aesa bolne se Islam se bahir to ne ho jata insaan?

2. Kin alfaaz ke bolne se insaan Islaam se khaarij ho kar murtad ho jata he?

3. Murtad ke kitni types he or konsy murtad ke peechly amaal bhi barbaad ho jaty he?

A:

1. Agar us ke dil me ye yaqeen aur aqeeda tha ke us kaam ke karne se waaqi wo kaafir hojayega aur us ke ba wujood us ne wo kaam kya tha, aur karte waqt bhi us ne ye socha ke is kaam ke karne se wo kaafir hogaya, to kaafir hojayega.

Leikin agar us ko maloom tha ke is tarah ke qasam se aadmi kaafir nahi hota he, balke in alfaaz se qasam waaqi hoti he, to is soorat me wo qasam waaqi hogayi aur us ke karne se wo kaafir nahi hoga, leikin qasam ke thorne ki waja se wo ghunegaar hoga aur us par qasam thorne ka kafaara waajib hoga. Issi tarah us ko chaahiye ke taubah bhi kare aur phukhta azam kare ke aainda wo ye kaam nahi karega.  

2 & 3. Jaan booj kar ye mazaak me kufriya aur shirkiya alfaaz kehne se aadmi kaafir hota he. Issi tarah deen ki zarooriyaat me se kissi bhi cheez ki takfeer ya inkaar ya istikhfaaf karne se aadmi kaafir hota he aur deen se khaarij hota he. Issi tarah zarooryaat-e-deen me se kissi cheez ki aisi tahreef ya taweel kare jo us ke ijmaai' ma'aani se khilaaf ho, aise aadmi bhi kaafir hota he aur deen se khaarij hota he. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

وإن قال إن فعلت كذا فهو يهودي أو نصراني أو كافريكون يمينا " لأنه لما جعل الشرط علما على الكفر فقد اعتقده واجب الامتناعوقد أمكن القول بوجوبه لغيره بجعله يمينا كما تقول في تحريم الحلال ولو قال ذلكلشيء قد فعله فهو الغموس ولا يكفر اعتبارا بالمستقبل وقيل يكفر لأنه تنجيز معنىفتصار كما إذا قال هو يهودي والصحيح أنه لا يكفر فيهما إن كان يعلم أنه يمين وإنكان عنده أنه يكفر بالحلف يكفر فيهما لأنه رضي بالكفر حيث أقدم على الفعل.(الهداية 2/481)

احسن الفتاوى 5/499

جواهر الفقه 1/147

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: