Qaza namaz aur qasar namaz ka tareeqa

Q: Qaza namaz aur qasar namaz ka tareeqa kiya he?

A: Agar aadmi ko yaad ho ke us ki konsi fardh namaaz qadha huwi, to qadha namaaz parhne ke waqt wo niyyat karega ke ye namaaz jis ko me parh raha hu us chuti huwi fardh namaaz ki qadha he. Agar bohot si fardh namaaze qadha huwi aur us ko un ki tadaad aur waqt yaad nahi, to wo qadha namaaz se pehle niyyat karega ke ye Fajr namaaz jis ko me parh raha hu apni pehli Fajr namaaz (jo qadha huwi) ki taraf se he.

Fardh namaazo ki qadha aur witr namaazo ki qadha zaroori he.

Qasar namaaz safar ke douraan me parhi jaati he. Wo aam namaazo ki tarah he leikin har chaar rakat waali fardh namaaz ko do rakat parhee jayegi. Ye hukum us soorat me he jab aadmi akela namaaz parh raha he ya kisi musaafir ke peeche parh raha he. Agar kissi muqeem ke peeche parh raha he, to musaafir bhi chaar rakaat parhega imaam ki tarah.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)