Biwi ko jhoot ya mazaq me keh diya ke teri maa se me ne ghalat kuch kiya he

Q: Kisi bande ne apni biwi ko jhoot ya mazaq me keh diya ke teri maa se me ne ghalat kuch kiya he ab yaha usne sach me nahi kiya ta jhota iqrar usne kiya ab uske liye kiya hukam he? Agar uski biwi ko pata he ke jhot bol raha he tu kiya hukam he aur ya uski biwi ne yaqeen kar liya tu kiya hukam he? Wo mufti ke paas jayenge aur waha qasam utaenge ke jhot bola he?

A: Nikaah ba haal he. Us ke nikaah par koi asar nahi huwa, leikin us ko chaahiye ke jhoot bolne se parhez kare aur taubah kare. Issi tarah us ko chaahiye ke apni biwi ko bataade ke us ne jhoot bola.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: