Bagal aur seene ka baal kaatna

Q: Agar mard bagal ke baal na kaate to koi gunnah to nahi he aur seene ke baal kaat sakte he?

A:

1. Bagal ke baal kamas kam hafte me eik dafa ya do hafte me eik dafa kaate. Ziyaada se ziyaada chaalees din tak takheer kar sakte, leikin agar chaalees din guzar gaya aur bagal ka baal saaf na kya gaya ho, to aadmi gunehgaar hoga.

2. Mardo ke liye seene ke baal kaatna durust nahi he. Leikin agar baal bohot ziyaada lamba ho gaya, to us ko normal banaane ke liye kaat sakte he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)