Mia biwi honey mooon par jaana

Q: Kiya mia biwi honey moon yani ghoome phirne ke liye ekatte ghar se bahir ja sakte he?

Aur kiya mia biwi ekatte shopping ke liye baazar ja sakte he Islam ki roshni me?

A: Ye sunnat ke muwaafiq nahi he aur isme be-pardagi aur doosre kharaabiyo ka andesha bhi hota he. Us se behtar to ye he ke apne makaan me rehte huwe khawind ka kaam aur nokri par na jaaye aur jo kuch uske saath piyaar aur mahabbat karna chaahta ho woh karle. Isee tarah se agar eik doosre ko jaane pehchaane aur manoos banaane ka khiyaal ho is tarah se ye bhi ho jayega. Is amal ka shariat me koi asal nahi.

Bazaar aur ayse jageh par jaha par parda wa ghayra ka ihtimaam aur lihaaz nahi ayse jagoh par aurat ka jana haya aur sharam ke khilaaf he. Agar dharoori cheeze khareedna ho to khawind uska intizaam achchi tarah kar sakta he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)