Qarz dena is shart par ke daftari ikhraajaat qarzdaar ke oopar he

Q: Pakistan me ak foundation ki taraf se karobar. Ghar banane ke liye paise diye jate he. Jo ghar banane ke liye 5 lakh rupee dete he 4 saal k kist par. Har month kist liye jata he. Masla ye he ke abhi 5 lakh dete he aur wapis 6 lakh lete he. Un ke sath ak fatwa bhi he.

Aap mujhe bataye ke ghar banane ke liye is se qarza le sakte he ya nahi? Un ka kehna he ke wo bila sood karze dete he aur ye jo ak lakh ziyada lete he wo un ke daftari ikhrajat he jo is kam ko process karte he.

A: Agar ye idaara qarzdaaro ko qarz dete he is shart par ke wo adaaigi ke waqt un ko qarz ki miqdaar se ziyaada adaa kare, to ye sood me daakhil he. Qarz ke oopar jo ziyaada miqdaar wo lete he aur bataate he ke wo daftari ikhraajaat ke badle, ye bhi jaaiz nahi he kyoonke apni daftari ikhraajaat ko qarzdaar ke oopar daalna shar'an jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)