Gana sunna aur gana gana jisme kufriya kalimaat ho

Q: Mere papa ek gana sun rahe the jisme kuch jumle kufriya the... Jab maine unse pucha ke aap ne ye gana sath me gaya to nahi to unhone kaha nahi..fir kaha ke gana badhiya hai...to maine kaha isme kuch galat bol hain...to unhone kaha maine dihan nahi diya or kaun dihan deta hai ye to manoranjan hai....maine unhe ye nahi kaha ke usme kufriya jumle bhi hain... Ab unpe kiya hukm ayega?

A: Jab woh ghalat alfaaz ko na duhraya na samjhe aur na kisee tarah se ayse ghalat alfaaz ki madah ki to kufr nahi. Albatta ye sab jahaalat aur be-wuqoofi he ke ayse geet sunna jisme imaan ka khatrah he. Taubah karna fardh aur wajib he, eik gaana suna aur phir ghalat qism ka gana he. Khuda Ta`ala ke saamne roye aur wa'da kare ke aaindah aysi harkat nahi karega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: