Mannat karne se kis din roza rakhna?

Q: Agar hajaat poore hone ke liye roze ki mannat mangi ho, matlab meri hajaat poori ho to me roza rakhun ga to hum kis kis din roza rakh sakte hai?

Aur agar kuch wajah se late ho jaye to koi masla to nahi hai?

A: Jonse bhi din jab bhi roza rakhne ka iraadah ho rakh sakta he.

Nahi. Behtar he ke Khuda Ta`ala ke saath jab nazar maani jaaye to jald poora kya jaaye ke zindagi aur maut ka koi itminaan nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)