Kiya yeh kufriya kalimaat he: "rizq Allah hi deta ha, mujay na bataye"?

Q: Me Germany me rehat ho. Meri aik dafa bari sister sa phone par baat ho rahi thi, ke Germany me lockdown lag gaya aur job chali gayi meri, tu meri sister ne kaha, bahir na nikla karo, rizq Allah dega. Mujay ghussa aa gaya, me na kaha mujay pata hai is baat ka right rizq Allah hi deta ha, mujay na bataye. 

Agay me ne kaha chahe Pakistan ma ho ya Germany rizq Allah hi deta ha, lekin is ka matlab ya nahi aap ghar rest kartey instead aap mehnat karni chahiye.

Agay me ne kaha, Allah us ghoom halaat nahi badalta jo khud koshish nahi karti.

Mujay ab waswasay aata hai kahi me ne koi naazubillah koi kufria baat tu nahi kaha. Kindly mujay guide kar de.

A: Kufriya baat nahi he lekin jo baat aapne kahi woh jahaalat ki baat he aur be-samjhi ki baat he. Allah ke dene ki bohot hee soorate he. Usko eik hee soorat me munhasir karna ya to kam-samjhi he ya ta`assub he. Aurato keliye yahi behtar he ke woh ghar me rahe. Aur rizq ko kheenchne wali cheez taqwa he. Ghar reh kar bhi bohot see aurate kamaati he aur bohot ziyaada bhi kamaati he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: