Mazi aur mani me farq

Q: Me aksar awqaat kisi larki se bat karo to mera pani nikal jata hai to is par ghusal karna parhta hai aur is se roza to batil nahi hota? Mere niyyat kharaab nahi hote lekin pata nahi kya masla. Baraaye meherbaani kuch bata de is baare me aur mazi aur mani me kya farq hai wo bhi bata de.

bismillah.jpg

A: Baat hee ne kare taake paani ne nikle. Istighfaar karo.

Mani to josh aur quwwat se nikalta he. Aur mazi josh aur quwwat se nahi nikalta, woh deere deere rafta se nikalta he. Mani ke nikalne se ghusl wajib hota he aur mazi agar che napaak he mani ki tarah lekin uske nikalne se ghusal toot-ta nahi albatta wudhu toot-ta he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

قال والمعاني الموجبة للغسل إنزال المني على وجه الدفق والشهوة من الرجل والمرأة حالة النوم واليقظة (الهداية 1/31)

قال وليس في المذي والودي غسل وفيهما الوضوء لقوله عليه الصلاة والسلام كل فحل يمذي وفيه الوضوء والودي الغليظ من البول يتعقب الرقيق منه خروجا فيكون معتبرا به والمني خاثر أبيض ينكسر منه الذكر والمذي رقيق يضرب إلى البياض يخرج عند ملاعبة الرجل أهله والتفسير مأثور عن عائشة رضي الله تعالى عنها (الهداية 1/33)

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)