Rowze ki haalat me mazi nikalna

Q: Mera sawaal aapse ye he ke agar jinsi baat ki jaye ya suni, parhi jaye us se jo safed discharge khaarij hota he (jab ke jism may koi harkat mahsus na huwi ho, istaadah na huwa ho bus discharge ho to aysi haalat me kya ghusal farz ho jayega? Aur agar roze ki haalat me aisa ho tu kya ahkaam he roza totjayega ya foran ghusal karliya jaye to roze par asar nahi hoga? 

bismillah.jpg

A: Ye mazi he owr mazi ke nikalne se wudhu tootta he, rowza nahi tootta.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

قال وليس في المذي والودي غسل وفيهما الوضوء لقوله عليه الصلاة والسلام كل فحل يمذي وفيه الوضوء (الهداية 1/33)

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)