Showhar ke wafaat ke baad iddat

Q: Showhar ke fout hony ke baad aurat ki idat ka kitna waqt hota hy aur os ki kia ehmiat hy shariyat mn knk shohar ki zindagi mn na mehram sy parda nhi krti is ka gunah kis k sir hoga to kia idat mn bhi parda krna jayez hy k nhi?

bismillah.jpg

A: Showhar ke intiqaal he ba'd, biwi ki iddat chaar qamari mahine owr das din he. Ye us surat me ho jab showhar ka intiqaal qamari mahine ki pehli tareek me hojaai. Lekin agar showhar ka intiqaal qamari mahine ki doosri tareek ya us ke bad hojaai, to biwi ki iddat poore ayk so tees din (130 days) hogi. Ye hukam us surat me he jab biwi haamila ne ho. Agar biwi haamilah ho, to us ki iddat bache ki wilaadat tak hogi. 

Jaise aam awqaat me na mahram mardo se purdah karna zuroori he, issy tarah Iddat ke dowraan me bhi na maram mardo se purdah karna zuroori he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)