Meelaad

Q: 12rabi ul awal k hawale se jo baralvi hazrat melad munaqqid karte he naat ki mehfile hoti he darood ki mahfile hoti he jalse jaloos hote he ye sab islam ki nazar me kaisa he? agar ye sab biddat he to hame is din kya karna chahye or kis biddat se bachna chahye ? Hadith or quran ki roshni me rehnumai kare.

bismillah.jpg

A: Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) owr Sahaba ke zamaane me ye cheeze nahi thi. Ye tareeqah saatwi sadi me peyda huwa. Baadsha Arbal ne is ku ijaad kardiay owr us waqt se ye silsilah chala. Is ke ilawa is mehfil me bohot se mafaasid owr kharaabiya paae jaate he. Mard owr auwrato ke darmiyaan ikhtilaat hota he. Purde ka koi intizaam nahi hota. Ye tareeqa bohot se bidaat par mushtamil bhi he. Logo ke aqeede bhi kharaab huwe. Ba'z lowg ye aqeeda bhi rakte he ke Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) mehfil-e-melaad me haadir hote he. Is wajah se aadmi ku chahia ke ayse mehfilo me shirkat karne se parhez kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

عن عائشة رضي الله عنها ، قالت : قال رسول الله صلى الله عليه وسلم : من أحدث في أمرنا هذا ما ليس منه فهو رد (مشكاة # 140)

المولود الذي شاع في هذا العصر و احدثه صوفي في عهد سلطان اربل سنة 600 ولم يكن له أصل من الشريعة الغراء (العرف الشذي مع جامع الترمذي 1/117)

ومن جملة ما أحدثوه من البدع مع اعتقادهم أن ذلك من أكبر العبادات وإظهار الشعائر ما يفعلونه في شهر ربيع الأول من مولد وقد احتوى على بدع ومحرمات جملة (المدخل لابن الحاج 2/2)

فتاوى محمودية 5/378-379)

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: