Waraasat

Q: Mery chaha ke intiqal ke bad meri Chachi (Mother in Law) ny apna ghar firokht kerdia hay jo k chachi ky nam tha. Us pasay say wo rent per ghar layker reh rahi hain. Aur apny guzar basar k liay bank main passay jama ker diay hain. Is sorat main un ki bachon ko us pasay main kitana hissa banta hy. Jub ke larky apny gharoon main khush hain aur bachian bhi apny ghar main kush hain siway chand bacho ke. Wirsat ki taqseem kub jaaiz hy?

bismillah.jpg

A: Yeh ‘chachi ke naam’ se kya muraad he. Agar chacha ne makaan inko apni zindagi me de diya tha ya chachi ka zaati makaan tha to unko apne makaan ke andar tasarruf ka poora haq hota he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)