Ma'zoor

Q: Meri pareshaani ye he ke mera wudhu baar baar toot jata he. Kabhi aysa bhi hota he ke me wudhu kar rahi hoti hon or toot jata he. Me ne parha tha ke agar aysa masla ho tu ayk baar wudhu kar ke namaz parh le. Meri aadat he sobah fajar ke baad me quran parhti hon or ishraq parhti hon. Agr me ne fajar se pehlay wudhu kia or fajar ki namaaz parhi or os hu wudhu se quran bhi parh liya or ishraq bhi tu kiya ye theek he ya mujhay teeno ibadaton ke liye alag alag wudhu krna chahiye?

bismillah.jpg

A: Agar aap ma'zoor he to har namaaz ke waqt ke shuroo me ayk wudhu karna kaafi he. Lekin jab waqt nikalta he, to wudhu tootjata he. Agar aap ishraaq namaaz parhna chati, to alag wudhu karna parega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)