Khwaab ki ta'beer

Q: Mera question khawab se related hai. Meray walid sahib ka inteqaal 2002 mein hua tha. Us ke baad se mughay un ke janaza aur qabar ke mutaliq khawab atay hain. Kabhi main un ka janaza dekhta hun jis mein unhay sahi halat main dekhta hun. Qabar se mutaliq jo bhi khawab ata hai us me mein un ki qabar ko bachanay ki koshish karta hun. Kabi pani se, kabi yeh ke koi aur un ki qabar par qabar na bana de. In short jese mein un ki qabar ki hafazat main laga hun. Main un ko qabar mwin sahi halat main dekhta hun. Aisay hi khawab mughay bohat martaba atay hain. Please help me aur mughay tabeer batein.

bismillah.jpg

A: Qur'ana shareef ka kuch hissa parh lo owr us ka sawaab aap ke waalid ke lia bhej do.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada