Khwaab ki ta'beer

Q: Mein married hoon or Apny ghr Mein bahoot khush b hoon lakin Mein aksar khawab Mein Dekhti hun merit ammi Muj sy naraz hain lakin haqeeqat Mein aisa Kuch nhi hay balky meri ammi shaadi k bass b aksar mukhtalif mamlaat Mein mj sy mashwara b karti hain or mj sy share b karti hain halank mj sy bary bahaen Bhai b hain Lkn meri ammi mj sy baat share kar k acha feel karti hain. Lakin Mein Apny is khawab ki Waja sy bahoot paryshan hoti hun k khawab Mein ammi mj sy q naraz huti hain danti b hain.

A: Pareshaan honi ki baat nahi he. Ye acha khwaab he. khwaab ke andar maa baap ka apne awlaad ku daantna unke balaai owr unke khairiyat ke lia fikar karna he owr naseehat karna he. Aap ki waalida aap se buhot mahabat karti owr aap ke taraqqi owr kaamiyaabi ke lia fikar karti he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada