Maa baap ke saat mashwarah karna nikaah ke maamle me

Q: Hum tauba karte hai lekin mujhe depresion rahne laga hai. Hum chahte hai meri shadi usi se ho jaye. Aap dua bataye. Please ab dusre se shadi ka sochkar hi mera dil ghabrata hai. Uska diya hua paisa use kar skte hai kya?

A: Nikaah ke maamle me larki ku chahia ke wo apne maa baap ke saat mashwarah kare. Maa baap ke mashwarah ke baghair koi kaam ne kare warna wo pachtawegi owr pareshaani me phas jaegi. Paanch waqt ke namaaz ke ba'd Allah Ta'ala se dua kare ke Allah Ta'ala aap ku neak rishta naseeb farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: