Tahajjud namaaz

Q:

1. Kya tahajjud ki namaaz ke baad sona zuroori hota he phir fajar ki namaaz?

2. Agar koi insaan fajar ki namaaz se 30 minute pehle jaag kar tahajud ki namaz parh le to kia us waqt tahajjud ki namaaz parhi jaa sakti he?

3. Tahajjud ki namaaz kitni rakat hoti hay kum se kum aur ziyada se ziyada kitni rakat hoti he?

4. Kia tahajud ki namaaz me aakhri 10 surte parhi ja sakti he ya bari surate parhni hoti he?

A:

1. Zaroori nahi.

2. Subah saadiq se pehle tahajjud ki namaaz parhi jaa sakti he. Jab subah saadiq ka waqt daakhil hojaye to fajr ka waqt daakhil hogaya phir tahajjud nahi parhi jaa sakti.

3. Sab se kum do rakaat he us se ziyaadah jitna aadmi parhna chaahe he, parh sakta he.

4. Quraan ke kisi bhi jaga se parh sakte he khwa lambi surato se ya choti surato se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)