Peshaab ke qataraat

Q:

1. Muje peshaab ke qatro ki takleef he. Lekin sirf namaaz ke waqt hi muje qatre aate he aur waqt me nahi aate. Toh kya me abhi mazoor hu?

2. Me namaz ke waqt tissue paper underwear me rakhta hu kya tissue paper chalega, kyu ke ghar se masjid jaate waqt chalte chalte tissue paper andar khisak jaate he, toh napaaki sharmgah ke kisi aur hisse pe bhi lag sakti he, toh isme kya ikhtiyaar rakhna chahiye?

A:

1. Agar koi shaks namaaz ke poore waqt me fardh namaaz nahi parhsakta uzar ke nikalne ke baghair (jaise peshaab ke qatre ka nikalna), to ayse aadmi ma'zoor banjaega. Uske ba'd har namaaz ke waqt me agar ayk dafa' bhi uzar paya jae, to wo shakhs ma'zoor rahega owr agar uzar bilkul nahi payajae, to phir wo ma'zoor nahi rahega. Dowbara ma'zoor banne ke lia zuroorat hogi ke poore waqt me uzar ka is qadar paya jana ke fardh namaaz poora nahi karsakega us uzar ke nikalne ke baghair. Aap ku chahia ke namaaz se kaafi waqt pehle aap peshaab karle owr qadha-e-haajat se faarigh hojae. Phir jab namaaz ka waqt aawe to aap ku ye pareshaani nahi hogi.

2. Agar peshaab ka katra nikla to wudhu tootjaega owr agar kapre ke upar laga to kapra napaak hojaega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)