Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe ye khawaab Friday ki raat ko aaya tha. Meine dekha ke doh pariyan ek bachhey ko utha kar ley gayen. Phir mein ne apney bhai aur bahan ko bola ki wahan mat jana. Humare liye un pariyon ne red ball phenkey. Mein ne nahi le. Ammi ne mujh se kaha ki, wudu karo namaz key liye. Meine bas wudu kiya aur sooch liya ki namaz ho gayi. Phir dekha ki ek farishta mere papa ki shakal mein mere pass aya mein ne us se kaha ki aap mere papa nahi ho toh phir woh farishta ban gaya woh neley raang mein tha mujh se boley ki aap jannati ho thoda aur acchay kaam karo acchey jannat melay gi. unke saat ek 6month ka baccha aaya tha jis key sirf tangey thi. Aur phir jatay waqt woh paltey unhoney puncha tumhare koi khawahish batao mein ne bataya mujhe Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) se milna hai. Yeh baat Allah se mat khey eyaga phir meine khaha ok bata dena allah ko. Phir woh farishta chotta tha. Unko mein ne aapne haat par rakha aur weh assman mein ur gayen.

A: Kaamiyaabi haasil karne ke lia ayk hi tareeqa he owr wo Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke Mubaarak tareeqe par chalna. Khwaab ki ta'beer ye he ke agar aap Allah Ta'ala ke khusoosi rehnumai owr hidaayat ka talab gaar ho owr faristo ki dua owr suhbat ka khaaast gaar ho, to Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke Mubaarak tareeqe par chale owr gunaah wali zindagi se bache.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada