Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne khwaab main dekha hai ke main meri ami jaan aur main andhairay main jaa rahi hain. Sarak ke left side par aik plot hai. Jahan ayk bulb laga howa hai hum plot per chali jatti hain. Meri ammi jan ke hath main gosht hai. Wo meray sir se guzar rahi hain. Achanak andhary main se aik aadmi nikal kar aata hai. Wo ammi say kehtaa hia ke agar sadkay ka gosht pehnkna hai to iss dewar ki tarf pehnkain. Jab ammi wahan phenkany lagti hian to dewar main aik khirki (window) khulti hai aur khirki main aik mufti shab hotay hain. Wo kehtay hain ke is taraf gosht na pehnkain. Phir main dekhti hun ke aik ghar hai aur wahan bohut zaida aurtain hain. Mujhe aur meri behan ko aik kamaray main lay jatay hain aur humain kaha jata hai ke aap donu ka rishta dekhnay aa rahay hain tyaar ho jian. Main aur meri bahan tyaar ho jatay hain. Sab kahaty hain ke bohat khoobsurat lag rahi hain. Achaanak pata chalta hai ke rishtaay waloun ki footgi ho gaiyae hai. Wo nahi aa rahay. Mufti sahib please is khawab ki tabeer bata dain.

A: Pehle khwaab ka matlab ye he ke saheeh Ulama' se Deen seekho.

Dowsre khwaab ka matlab ye he ke Allah Ta'ala neak owr munaasib rishte naseeb farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada