Khwaab ki ta'beer

Q: Mene istikhara kiya tha job ke liye. Isme ye khwaab aaya tha farsh black colour ka one side clean aur dirty he. Mujhe koi to bol rha tha sahi liquid ka use karoge to farsh clean ho sakti he aur galat liquid ka use karte ho to farsh aur bhi dirty ho jayega. Bad me apne aap ko aine me dekhti hu to me itni achi nahi dikti. Ba'd me ghadr dekh ke bolti hu are time aut ho gaya. Iski kya tabeer he?

A: Ba'z dafa khwaab zehni khiyaalaat ki wajah se mutaassir hote he owr saaf nahi hote he. Is wajah se poora faisla khwaab ke upar ne kare. Un lowgo ke saat mashwarah kare jo is line ke cheezo se waaqifiyyat rakhte he. Mashwarah karne ke ba'd agar aap ka dil saaf ho owr aap ku ma'loom ho ke aap ke Deen owr dunya ke lia acha he, to qubool kare, warna chowrde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada