Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhay apni ami ke khwab ke tabeer malom karna hay. Aaj kal wo meray bhai ke liye reshty ke talash main hay, unhay aik jaga larki pasan ayen aur wo hamaray apnay beh hain door ky, thu Allah ki raza malom karny kay liye Isthikhara kiya. Aur khwab main ami nay kuch yu dekha kay " meri ami aur us larki ke ami kesi jaga aik sath beti hay aur us larki ke ami meri ami say kehten hay ky meri danth main kuch pansa hay tum esay nikal do tu meri ami swee kay sath nikalte hain jes say un kay masory zakhmi ho jate hay. Jub wo doctor kay pass jate hay to doctor kehta hay kay ye zakham nasoor ban chuka hay lekin tek ho jaye ga. Us larki ke ami meri ami say bohat ghussa hay meri ami bohat sharminda beh hay lekin dil main yaqeen hay kay is nay elaj shoro kar liya hay is liye tek ho jayege. Magar us larki ke ami ghussay main waha say jale jate hay aur phir meri ami ko nazar nahe ate" please iss khwab kay tabeer nikaliye kay in logo say reshtya karna chaheye ya nahe. Ap ka bohat shukrya.

A: Dekho ke ye larki ba-akhlaaq he aur deen ka saheeh aqeedah rakhti ho ghalat salat aadate aur ghalat salat logo ke saath ghoomti phirti ne ho. Ye bhi dekho ke bhai aur ghar ke zimme daar afraad us larki se khoosh ho. Agar is tarah ki baat ho to rishta tay kar sakte ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)