Leat kar Qur'an Shareef parhna

Q:

1. Kya raat ko leat kar mob se Qur'an dekh kar parh sakti hoon?

2. Quran parhney ke liye wuzoo zaroori hai?

3. Mei rozana raat ko Surah waqia parhti hoon, kya mei wuzoo, bewuzoo aur leat kar parh sakti hoon?

4. Periods mei mobile se quran dekh kar parhney ki ijaazat hai?

A:

1. Qur'an Shareef ke andhar dekh kar parhne ka adab ye he ke aadmi adab ke saat bethe owr parhe.

2. Sirf Qur'an parhne ke lia wudhu zuroori nahi he, lekin baghair wudhu Qur'an ku haat lagaana jaaiz nahi he.

3. Jee ha.

4. Ye jaaiz nahi he. Haiz ki haalat me awrat ke lia Qur'an parhna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)