Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe apne khwaab ki tabeer pochni he. Subah takreeban 4 5 bje ke dermiyan mene khab me dekha ke mera bhai mujh se chota wo masjid me azan de raha he (real me bhi wo azan deta he masjid me) loog uski azan sun rhe hen or boht khushi se sun rhe hen or meri taraf dekh kr mujhe proud feel krwa rhe hen jese wo kuch alag krega or wahi howa ke wo masjid ke ander azan deta howa doran e azan bahir sehan me aajata he or baki ki azan wahan khara hokr pori krta he phir wahin se dosra seen shuro hojata he me dekhta hon ke me apni wife ke sath apne bed pr so rha hon or dekhta hon k 1 kale rang ka jo bhoond hamare opr urr rha he jese hi wo qareeb aata he me usko phoonk marta hon to wo phir se opr chala jata he esi doran 1 makkri bhi apna jal tezi se bunti he seedhi line me jese dhaga bandhttey hen seedha wese hi or wo jald hi jaal bun leti he or wo bhoond us jal me phans jata he achanak wo makri use aise pakrti he jese insan pakrta he I mean us makri ko me dekhta hon uski shakal 1 orat jesi hoti he or wo meri taraf muskura ke dekhti he or 1 hi chaak me us bhoond ki sir kha jati he or baki hissa phenk deti he wo hissa jism nhi hota blke jese firrak (ladies ka ghaghra ho) wo neche aata he bus phir meri aankh khul jati he me boht derta bhi gaya tha.

A:

1. Ye acha khwaab he. Allah Ta'ala aap ku owr aap ke khaandaan walo ku Deen par pukhta rakhe.

2. Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada