Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwaab main dekha kae mera dost mujh se kahta kae aap kae pass khajor ka tree hai. Mujhay be khuch do aur main hans parta hoon, aur dosray khawab main mara dost kahta hai kae Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) nae batya hai kae aap kamiyaab ho jao gae.

A:

1. Pehle khwaab ka matlab ye he ke Allah Ta'ala aap ko logo par ihsaan karne ke liye aur logo ku deen sikhlaane ke liye taufeeq naseeb farmaenge.

2. Ye bohat achchaa khwaab he. Allah Ta'ala aap ko deen par pukhta rakhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada