Khwaab ki ta'beer

Q: Mere ammi ko 11, 12 din pehle khawb aya tha. Unho ne dekha ke aasman par Allah ka naam likha hua hai phir kuch der bad Muhammad Sallellahu alaihi wassallam ka naam likha hua aur phir ye likha paya ke Allah ku yaad karo. Wo namazein wazife wagaira padhti rehti hi hai. Namazein kabhi miss hojati hai to qaza karleti hai. phir ye khwab ki tabeer ky hai aap please bataye?

A: Ye bohot acha khwaab he. Khwaab ka matlab ye he ke agar wo Allah Ta'ala ki muhabbat haasil karna chahti, to un ku chahia ke Nabi (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki Mubaarak Sunnat ikhtiyaar kare apni zindagi ke har shu'be me owr gunaaho se parhez kare. Issy tarah un ku chahia ke paanch waqt ki namaaz apne saheeh waqt par paabandi ke saat parhne ka ihtimaam kare. Namaaz ku qadha karna bohot bara gunaah he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada