Qur'an Shareef ku hindi me parhna

Q: Mera ayk sawal tha hindi me para hua quran isale sawab kitor par bhej sakte he kya? Aur hindi Quran parne ka sawab Arbi quran prne jitna rehta he kya mene hamara chacha ka intikal hua tha to mene jo hindi quran pada tha wo bakshne ko bola tha hindi quran nhi bksh sakte to mujh par arbi quran padke bkshna phir hogaya kya qk tab 3 quran bkshne ko bole the unme mera 1 hindi quran bhi tha. Me quran mejo likha he uska matlb samjhne ke liye hindi quran pdti hu.

A: Qur'aan Shareef ki jo fadheelat he woh mahaz usee zabaan me he jis zabaan me Qur'aan Shareef naazil huwi. Doosree zabaan me jisme woh likha gaya usko Qur'aan nahi kehte ne uski koi fadheelat ka koi wa`dah he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)