Khwaab ki ta'beer

Q: Baat ye he ke hamare ghutne me achanak se hi dard aagaya he qareeb two months se aur hame aisaa lagta he ke ye kuch jaadu ka he kyun ke hamara sasural me sab yahi chalta he aur unki hamse nahi banti. Bahut dawai, maalish sab karwaliya. Kuch asar nahi ho rha. Aapse guzarish he ke kuch aisaa batayen jisse hame rahat mile. Aur dusraa ye he ke hamne khwaab me dekhaa ke ek taweez jo abhi hamare bahut qareebi rishtedaar ke gale me he us taweez pe ek aur taweez bandhi he kale dhage se. Jabse hum bahut pareshaan hain ke ye kya he aur jinki ye taweez he unki tabiyat bhi theek nahi rehti aur unka behaviour hamari tarf bahut rude he. Humne dekha ke jaise chid jate hain hamari koi baat achi nahi lagti. Unhe aisaa behave karte hain ke hum unke dushman hain. Mufti Saab bahut buri halat he hamari kya batayen hamara koi nahi kisise ye dil ki baatein bayaan bhi nhi krskte kyun ke log mazaak udate hain. Aapse guxaarish krte hain ke hme kuch aisaa bataye kuch ke hamari har tareeqe se halaat sudhar jaye sehat se daulat se izzat se hifazat se hr cheez se.

A: Khandaan walo ke saat acha sulook owr bartaaw rakhe agar che wo aap ke saat bad sulooki kare. Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada