Khawind ka paisa

Q: Mujeh mere shohar ghr k kharch k liye kuch paisey detey hain. Un mei se kafee mei ne jama kr liye lekin un paison k baarey mei shohar ko khabar nahi hai. Ab kabhi mere walid sahab ko paison ki zaroorat hoti hai to wo paisey mei apney walid ko ye keh k udhaar dedeti hoon k mere shohar ne aap ko diye hain. Aur jab shohar ko zaroorat hoti hai to apney shohar ko ye keh k de deti hoon k merey walid ne diye hain. Kya is tarah karna mere liye jaiz hai? Ab mei un paison ke baarey mei apney shohar ko bhi nahi bata sakti. Please rehnumayee farma dijiye.

A: Agar khawind aapko paysa deta ho mahaz ghar ke kharch ke liye to ye paysa khawind ki he. To agar ye khawind ke liye he phir qardh nahi ho sakta jab ke usee ka paysa he. Albatta jo aap ne apne waalid ko diya woh qardh hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: