Khwaab ki ta'beer

Q: Main pichle 5-7 month se ik khawab dekh raha hoon. Sab se pehle khawaab dekha ke main ayk new house banwa raha hoon jis ki char dewari ho rahi hai phir doobara khawaab main kisi aur plot ko dekhta hoon jis ki foundation ban chuki hain phir next khawaab main dekhta hoon k main apna house banwa raha hoon aur baqayda mistri lage huve hain aur main un ko hidayt de raha hoon k is ko yahan se aise banao aur poori tarha se house ka kaam mere under main hai yani wo mera hai phir ik khawaab main dekhta hoon k main ik double story house main hoon jo bilkul new hai jo abhi white wash b nahi huva aur abhi tak kisi ne us main rihaysh nahi rakhi phir mere father meri ammi ko le kr andar aate hain k dekho main tum logo ko ghar dikhata hoon k kitna pyara ghar hai hamara (mere father ki 1 year pehle death ho chuki hai)aur wo badi khushi se house dikha rahe hain aur hum sb b bohat khush hain k hamara new house kitna pyara hai. Phir ik khawaab dekhta hoon k main usi new house main hoon aur main sare house main kuch bareek tinkay bikhre huve dekhta hoon aur main sare ghar ki badi khushi se cleaning kr raha hoon aur gallery main kuch dust hai jo main jharoo se saaf kr raha hoon taake ye bilkul saaf ho jaye. Mufti sahib ye khawaab main ne step by step dekha hai please muje is khawaab ki theek theek tabeer bta dejiye Allah aap k ilm main izafa farmaye ameen.

A: Is khwaab me ghar se muraad Jannat ka ghar he. Jitne ache a'maal banda dunya me kare, utna behtar owr acha ghar usku Jannat me naseeb hoga. Lihaza aap ku chahie ke aap is dunyawi zindagi me hamesha neak owr ache a'maal kare owr gunaaho se parhez kare taake aap ke jannat ka ghar saaf sutra owr muzayen daar owr khoobsoorat bane.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada