Khwaab ki ta'beer

Q: Meiny apny khwaab ki tabeer jani hai. Meine fajar ke waqt khwaab dekha ke mei wash rom hajat ke liye gai tu mujy haiz ho gya or bleeding mei moti moti ajeeb si gosht ki botiyan thi un mei hadiyan bhi thi ek aad mei. Mei bohot dar gai .....usk bad meri ankh khul gai.

Second khwaab ..... Ek mah pehly meiny khuab dekha ke mery ghar mei Hamry Aaqa Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) tashreef farmay hain. Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) ek room mei nechy baithy huye hain sar py amama sharef green rang ka libas half wite rang ka darhti mubarak kaali siha chamakti hui. Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) Quran-e-Paak ki tilawat farma rahy hain or ap k pas ek do admi safaid Libas Mei baithy hoty hain ek devar ke sth lag kr or dusra Ap (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke bht qareeb. Mein us aadmi sy puchti hn k mjy NABI PAK (Sallallahu Alayhi Wasallam) se mery liye koi wazifa puch kar batayen. To Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne Quran e Pak ki tilawat krty ruky or phr tilawat shoro kar di or Quran e Pak bhi woi jisy Mei parti hn. Itni dair Mei fajr ki azan hony lagi or ankh khul gai.

A: Paanch waqt ki namaaz apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kya kare owr kasrat se Durood shareef parhe. Mahabbat ke saath tamaam kaam me Sunnat ka ihtimaam kare. Kuch waqt nikaale Qur'an paak ki tilaawat ke lia owr subah owr shaam 10-15 minute fazaa'il-A`maal owr fazaa'il-e-Sadaqaat ki ta'leem kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada