Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne aaj suba fajar parhnay ke baad aik khaab dekha or kaafi ghabra gayi. Aap please muje iski tabeer bata dain to apki bahut meherbaani ho gi. Khwaab main yeah dekha ke mera matric ka paper hey or ammi muje subha school chornay ja rahee hain ke raastay main he kuch pamphlet paray nazar aatay hain jaisay akhbaar walay koi important news bataanay ke liye chaaptay hain emergency main. Main nay us kaghaz par parha k ek aurat ko ek gaon main kisi nay 8 goliyaan maari or vo faut ho gayee hain. Main nay ghor kiya to vo meri manjli bhabi ka naam tha.main ekdam say shock main aa k ammi say poochti hoon k bhabi kahan hain to vo kehti hain vo to gaaon gayee hey. Bus main school phone ker k bataati hoon k main paper denay nahi aa rahi or khoob ro rahi hoti hoon. Hum saray khandaan walay un ke gaon pahunchtay hain jahan bhabi ke khandaan walay bhi jama hain. Main bhee or baaki sab ro rahay hotay hain. Itnay may main kisi kamray k andar jati hoon phir wapis ati hoon to dekhti hoon meri bhabi bilkul sahi salaamat muskuraati huee sab say galay mil rahi hain. Main bilkul saktay jaisee haalat main hoon. Akhir main mujh say galay milti hain to main bahut roti hoon or poochti hoon ke kya hua tha. Aap bach kaisay gayeen to wo kehti hey bus na poocho Allah ka shuker ke main aa gayi. Bus phir meri ankh khul gayi. Meherbaani farma kar mere khwaab ki tabeer bata dain. Allah apko jaza day. Ameen.

A: Sab ki hifaazat to sirf Allah Ta'ala karsakte he. Lihaza hum kuchahia ke hum hamesha Allah Ta'ala ki farmabardaari me rahe owr kisi waqt me hum us ku naraaz ne kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada