Napaaki

Q:

1- Kia ijtihaad har koi kar skta he ya ijtihaad sirf aalim hi kar sakta he?

2- Agar peshaab ke baad qatra aa jaye aur wo shalwaar par lag jaye to ab us me namaaz ho sakti he ya nahi?

3- Agar peshaab ke baad qatra aa jaye aur wo jism ke sath lug jae aur pata na chale ke kidar laga he to kiya hukam he? Ab nahana chahiye ya kia karna ho ga?

4- Agar peshaab ke bareek katra peshaab karte huwe kapron par lag jayen to un ka kiya hukam hey?

5- Mazi paak he ya napaak?

6- Agar banda raat ko apni biwi ke pass sota he to kapre par mazi ke nikalne ka andesha ho to kiya suba un kapron me namaaz ho jae gi?

7- Agar mazi jism ke kisi hisay ke sath lug jati he aur pata nahi chalta ke kidar lugi he to is soorat mein insaan kiya kare, naha le ya kiya kre?

A:

1. Ijtihaad woh kar sakata jis ke andar ijtihaad ki salaahiyyat ho.

2. Agar thora sa hee laga huwa ho to namaaz durust ho jaayegi, lekin karaahiyyat ke saath.

3. Oopar ka jawab dekhlo.

4. In tamaam soorato me agar hatheli ke daairah se kam ho to namaaz durust hogi lekin dharoori he ke usko dhole warna namaaz makrooh ho jayegi.

5. Napaak he.

6. Namaaz to hojayegi agar mazi bohot kam ho aur thora sa ho.

7. Agar yaqeen ho ke mazi ho to us hisse ko dhole. Agar usee waqt pata ne chale to jis waqt pata chale to us waqt dhole.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)