Halaala

Q: Mere showhar ne muje teen talak ek sath dedi thi to hamne nazdeek ke ek mufti saab se bat ki to unhone bolaki ab halala karna padega. To unhone mera nikah khud mufti sab nehi kiya khudse our muje bolaki ap muje likhjar dedo ki mene apne apko ush sakhs je nika me diya. Mene wesahi kiya fur hamari bich ek bar talaak hua fir unhone muje bolaki mene apko boldiya magar mene apne ka no se saf unhe talak kehte nahi suna our nahi koi nikah ja gaeah tha to ab kya ye halala hua. Agar nahi to please ap muje sahi tarika bataye.

A: Unko kehdo ke woh aapko saaf talaaq dede.

Is link ku bhi dheko http://muftionline.co.za/node/9871

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Muje apka relpy mila magar me ye nahi samaj payi ki mera dusra nikah jo kiya tha vo sahi tarikese hua tha ya nahi our ab muje ye badi musibat se kese nikalna he ye bataye detail me. Please bari maher bani hogi jald bataye.

A: Agar in mufti sahib ne aapse nikaah kya he iddat khatam hone ke ba`d aur aapne bhi unko khaawind banaakar qabool kya lihaaza ye nikaah saheeh ho gaya ba shart ye ke woh gawaaho ke saamne sab baate tay hogayee ho. Ab agar woh aapko talaaq deta to tu unka nikaah se nikal sakti ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: