Khwaab ki ta'beer

Q: Ma ney aaj Monday waley din subha 6 bujey key kareeb khuwab dekha key mai Ameer E Ahle Sunnat dawat-e-islami key pass baitha hoo aur mere haath mai Qurran Pak hai. Phir Mawlana sb mujey Quran Pak parney ko Kehtey hai aur ashara kartey hai kai yaha sey parho magar mujey sahi tarha words dekhai nehi dai rahey to mai kahi aur sey parney lagta hoo magar wo bi kuch ghalt par jata hoo to wo uth kar kahi jatey hai aur kehtey hai tumey to kuch nehi ata. Hmmm. Phir mai un ka wait karta hoo aur Quran Pak ki wo ayyat doondta hoo jo mai un ko asaani sey sehi sehi suna sakoo. Phir meri ankh khul jati hai. Please is ka matlab bata dai. Mai bohat preshan sa huwa hoo yeh dekh kar.

A: Neak lowgo ki suhbat me raho owr ayse Ulama' ki ittiba karo jin ke Aa'maal owr zindagi Qur'an owr Sunnat ke mutaabiq he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada