Khwaab ki ta'beer

Q: Me madrasah m bachon ko prhati hu, jis m ajkl kuch esa hrha hy k m preshan hojati hu kbhi kisi talba ki chapal prhai k doran gaeb hojati hy to kbhi pencil ya copy gaeb hojati hy, men hr nmaz k bad aytul kursi aur surah nas surah falak prhti hu, pani pr dum kr ke wo b mdrse m chhirakti hu, aur talbat ko b wo pani pilati hu.. Aj mene khwab m dkha k koi cheez hy wo saanp ki trha lag rhi hy lkn sanp nhi hy,men us se dar rhi hu, mere piche arhi hy aur meri sis mjhe bchne k lye keh rhi hy phr m mdrse m chli.jati hu wo chiz wahan b ati hy phir meri ami kehti hy ise kuch mar k behosh kro, meri sis aur m use behosh krte hen aur meri ami use mdrse k washroom m phenk deti hy..aur drwaza bnd krdeti hy,,, Iski tabeer kia hy aur mjhe apna amal jari rkhna chahye ya nhi?

A: Paanch waqt ke namaaz ke ba'd owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parh lia kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada