Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne is week main do martba ye khawab dekha hai. Main apne aap ko examination room mein dekhta hoon jis main aur bhi student hain aur paper shuru ho gya hai lakin main worried hoon ke meri to tyari he nahi aur main achanak paper kaisy de doon phir next khawab kal morning time dekhta hoon ke main examination room mein hoon aur Mutalya Pakistan ka paper shuru ho gya hai (Mufti sahib 1 saal pehle jab mere walid ne wafaat pai thi to us se kuch mahine pehle b muje yehi khawab aa raha tha aur jab main examination room main beth jata hoon to mere walid bemaar hona shuru hote hai aur jab un ki death hui to muje yehi khawab ata hai k main Mutalya Pakistan ka paper de raha hoon aur 3 subject abhi baqi hain) lakin mere pas paper dene k liye koi Pen Pencil Marker yani kuch b nahi hai phir main bahir Pen waghera lene k liye jata hoon k jis se paper hal karoo aur main Pen purchase karta hoon itne main kafi time waste ho jata hai aur paper dene ka time b nikal raha hai phir main sochta hoon k mera na jana he behtar hai qk muje to aata b nahi aur main wapis examination room mein nahi jata. Mufti sahib please mere is khawab k bare mein meri rahnumai kejiye Allah ap ko ajar ataa farmaye ameen.

A: Sab se aham imtihaan aakhirat ka imtihaan he. Agar koi us me nakaam huwa, to wo hamesha ke lia nakaam rahega. To insaan ku chahia ke us imtihaay ke aanse se pehle apne aa'maal ku durust kare owr aakhirat ke lia tayyari kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada