Biwio ke upar kharch karna

Q: Ek shakhs ki 2 wives hyn. Ek wife se 3 bachay hyn or dosri se koi bacha nahi. wo aadmi 1 lac kamata hy tu wo kis tarah isko sb me barabar taqseem Karay? Kis tarah kharcha chalaye? Jis wife k zayada bachay hyn kia osko zayada kharcha dia jaye?

Ek orat bewa thee. Os nay kisi aadmi se shadi ki takay wo oska kharcha uthaye. Os aadmi nay nikah k waqt orat se ye kehalwaya k me apnay sab haqooq apnay shohar ko maaf karti hon. Orat k zehan me tha k physical relation maaf kia.

Or shohar nay overall sab haqooq maaf krwa liye. Tu kia ab orat ka koi haq nahi or mard ki zimmaydaari nahi hy k wo os orat ka kharcha uthaye? Jab k orat nay nikah kiya he isliye tha k osko financial support milay.

A: Zaahir baat he ke bachche ka kharcha baap ki zimme he. Agar biwi un bachcho ka intizaam karti he to zaahir baat he ke uske intizaam ki wajah se unka kharcha bhi ziyaadah ho.

Nahi, aurat jab bhi chaahe apne kharche ka mutaalabah kar sakti he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: