Khwaab ki ta'beer

Q: Mere ammi ne ek khawab dekha he. Woh bohat pareshan hen. Unhe tabeer maloom karna he unho ne dekha ke woh rat ko zameen pe so rahi he or mere nani bed pe leti he to mere ammi ko koi jhanjor ke utha ta he woh uth ke mere nani ko bolti hen amma mujhe bahut dar lag raha he nani bolte he min e hona tere pas uske bad woh dekhte he ke woh kahi ja rahi hen or bohat lamba road he koie bhi nahi he bas door 2 admi beech rod me kursi dal ke bethe he mere ammi ne black pant and white shirt pehni he us ke asteen nahi he jab woh un admi ke pas se guzar tehe to mere ammi ko apne kapro se bohat sharam ati he pher un ko ek ghar nazar aata hai woh us me chali jati he udhar ek kamre me mere badi hoti he unka white dupatta para hota he mere ammi jaldi se woh utha ke pehan leti hen or phir un ki ankh khul jati he mere ammi is liye pareshan hen ke meri nani or dadi dono zinda nahi he or mere ammi 5 time ke namaz parhti he tahajjud me bhi uthti hen unhone kabhi zindagi me aise kapre nahi pehne meri ammi abaya or hijab pehenti he to per unhone aisa khwaab kyun dekha?

A: Us ku fikar karne ki zuroorat nahi he. Aap us se kahe ke wo  panch waqt ki namaaz ku paabandi se apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare. Neak suhbat ikhtiyaar kare. Aank, zabaan, kaan aur dil ki hifaazat kare tamaam ghunaaho se aur purda ka ihtimaam kya kare tamaam na mahram lowgo ke saat. Agar koi bhi insaan nek raaste ki oopar chale owr Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ke Sunnat wali zindagi ke mutaabiq apne zindagi guzaarde, to Allah Ta'ala ki madad hamesha saat hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada