Tiens company

Q: Mene apko china ki compny tiens ke bare me sawal kya tha. Please btain agar ye jaiz hai or agr najaiz hai to kis bina pe esko najaiz kaha jata hai owr es company ka knsa tariqa aesa hai jis se yeh kaam na jaiz qarar diya ja raha hai plz mje detail m btain plz.

A: Is company me marketing karne ke liye aadmi pehle fees adaa karna parta he. Sirf us ke ba`d woh member ban sakta he. Member ban jaane ke ba`d marketing shuroo` hone se woh commission milta he. Khulaasa uska ye he ke woh payse (fees) ke badle me paysa milta he aur woh us fees ke baraabar nahi hota, ya to ziyaadah ya us se kam. Lihaza usme riba he aur saath saath aur log us marketing me milaana bhi yaqeeni nahi he. Lihaza usme qimaar bhi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)