Gharelu pareshaani

Q: Mujhy hidaayat ki zaroorat hai. Mein eik talaq shuda aurat hoon bachy hein jo mery sath hein mein ny apny ghar ko bachany ky liye shadi ky chand din baad hi koshish shroo kar di thi halat hi kuch aesy thy sari zindagi issi ma guzari par kabhi na shohar sy na kisi sy na Allah sy gilla kia jitna himat thi kia khushi khushi sab bachoon ki tarbiat ma koi kami nahi rakhi deen dunia acha bura sab btaya per shyd mery naseeb ma kuch aur tha sari mehnat zaya hogai aur eik din shohar ny ghar jaidad ky peechy apny biwi bachy chor diye phir bhi himmat nahi hari bachion ki shadi ki Alhamdulila Allah ny kia jo kia sab woh karny wala hai mera sawal yeh hai insan ki azmaishein kabhi tu khtm honti hongi ? aur hoti hein par meri q khtm nahi hoti aur kab tak kitna kabhi kisi ky liye dil ma ghlti sy bhi bura nahi soocha sab ko jinhon ny jo kia mery liye sab ko sachy dil sy maaf kardia kisi ky liye kuch dil ma nahi rkha kabhi Allah janta dilo ky haal par ab yeh sawal zuban par agaya aur kab tak mein inn cheezon sy guzroongi koi tu saya hona chaiye aesa q hai mery sath?kuch din phly eik insan sy mili ussy sy dosti reshty ma badal gai pyar ka reshta kabhi mili nahi un sy sirf mssgs sy baat hoti janti hoon ghlt hai per shyd thak gai iss liye yeh reshta bna bethi kia gunah hai pyar hojana kisi sy app ki hidayat ki zaroorat hai woh eik acha insan hai ussy koi dukh nahi dyna chahti q ky us ny mujhy woh dia jo kabhi nahi mila kamzoor hogai kia gunah hai uss sy baat karna milli kabhi nahi sorry buhat lambi mail hogai hidayat ki muntazir.

A: Khuda ka shukr karo ke Allah ne aapko himmat dee. In bachcho ki saheeh tarbiyat ki, parwarish ki, shaadi karaadi. Ye poochna ke kabhi aazmaaish khatam hogi ye sakht be-adbi he. Aap kon he poochne wale jabke aap mahaz khuda ki baandi he. Ghulaamo ko aur baandiyo ko is tarah kehne ka haq bilkul nahi pohonchta.

Ye to sakht haraam he. Fowran Khuda Ta`ala se taubah karo aur unke saath har qisam ke ta`alluqaat khatam karo warna bohot ziyaadah pareshaniyaa hogi. Nikaah se pehle ayse ta`alluqaat haraam he aur be-wuqoofi he. Sakht naadaani he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)