Khwaab ki ta'beer

Q: Khwaab ki taabeer kindely pochna hai. Aik raat daikha ke mujhy koi awaaz aa rhi hai koi kh rha hai k agisni agisni prho aur dua kro qabool ho jaye gi, jb qabool ho jaye tou kuch meetha bantna, mn apni dost ko khti hun kuch bant do kiun k dua tou qabool ho jani hai meri... phr dailha k koi kh rha hai k surat baqarah ki akhri 2 ayat k darmiyan jo dua mango gi qabool ho gi.. Bht phly bhi daikha tha aik khawb, mene istkhara kia tha rishty k lye jis mn main ayet kareema prhty prhty uthi thi.. Istkhary k dino mn hi daikha tha k aik class mn hun bht c larkian white uniform mn hn hum sb, aik teacher ati hai khti hai lo ye green stole aur green coat bhi phno, meri aik dost mujhy kisi kaam sy ly k jana chahti hai mgar mn soch rhi hun jis k lye istkhara kia hai vo wait kr rha ho ga mujhy wahan jana hai... phir aik din unhi dino mn daikha k aik bara maidan hai jahan sb jma hain, mn us larky ko dondh rhi hun, kuch log kher mujhy khty hn buses khari hn aik traf wahan daikho, wahan mil jata hai, mn bus mn charh jati hun, he was in white colour dress, and buses were of blue colour. kindly mujhy bata de.

A: Ye acha khaab he. Paanch waqt ki namaaz apne saheeh waqt par parhne ka ihtimaam kare, aur tamaam na mahram logo ke saath parda ka ihtimaam kare. Allah Ta'ala aap ki duaa ku qubool farmaayenge aur aap ki dilli tamanna poori farmaayenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada