Biwi ku sms me "tum azaad ho" bhejna

Q: Mene apni wife ko aik bar sms ke zaria likh ke kaha ke tum azad ho lakin meri niyyat talaq ki nahi thi. Kia is taraan hmari aik talaak hu chuki hai? Agar khuda na khwasta hu chuki hai to ab hamai kia karna chaye kyu ke mai apni bivi ko wapis lana chahta hu.

A: Agar aapke yahaa urf ye he ke in alfaaz se aammatan talaq hota he to talaaq-e-baain ho jayega.

Jis tarah oopar bataya gaya ye urf ke oopar mouqoof he. Aur talaaq-e-baain waqi ho jaane ke ba`d mahaz tajdeed-e-nikaah kar lena kaafi he, do musalmaan mard ke saame nikaah parhaya jaaye. Ye kaafi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: