Khwaab ki ta'beer

Q: Main ne aaj subho ik khawab dekha plz is ki tabeer bta dejiye jo ye hai k hamare ghar main mamoo aur un ki begum aye hain un k aane se pehle mere walid kahin bahir chale jate hain (jin ka 1 saal pehle intiqaal ho chuka hai) ab guest k liye kuch kuch le kr aane k liye main apne walid ko phone krta hoon to wo nahin aate phir main chote bhai ko bazar bhejta hoon but wo b bohat late ho jata hai phir kafi der intezar krne k bad main bazar jata hoon k mera bhai b nahin aya abhi tk aur guest kya soch rahe hon ge, is liye main bhai ko phone krta hoon k tum wapis aa jao main khud he jata hoon raat ka waqt hai aur main bazar pohanch gya hoon main kuch lene k liye kisi shop pe jata hoon but muje kuch pasand nahin aa raha aur shop b bnd ho rahi hain aur main kafi late ho gya hoon itne main muje ghar se call ati hai jahan mera bhai b pohanch gya hai aur meri ammi jaldi aane ka bolti hain, phir is k bad main dekhta hoon k subho ka waqt hai aur main apne ghar wapis ja raha hoon but muje raste ka pta nahi chal raha aur main 1-2 martba hawa mein ud kr kuch door jata hoon aur kisi admi se apne area ka puchta hoon but wo b sahi tarha se nahin bta pa rahe aur khawab khatam ho jata hai.

A: Apne marhoom waalid ke lia Qur'an shareef ka kuch hissa parh kar ya kuch sadaqa dede owr us ka sawaab un ke lia bhejde. Issy tarah acha sulook owr bartaw rakhe tamaam rishtidaaro ke saat owr un lowgo ke saat jin se aap ke maa baap dowsti rakhte the un ki zindagi me.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada